kabhi paḌho to mujhe harf-e-mo’tabar ki tarah
ye kya ki paḌhte ho farsuda si ḳhabar ki tarah
qalam to karte ho sar ko mire magar sun lo
main reg-zar-e-vafa men huun ek shajar ki tarah
udasi khol ke baal apna so rahi hai yahan
ki jaise shahar men har ghar hai mere ghar ki tarah
hamare zauq-e-parastish ko tum dua.en do
chamak rahe hain ye patthar jo ab guhar ki tarah
masham-e-jan men abhi tak hai us badan ki baas
khila tha raat jo ik ghuncha-e-sahar ki tarah
har ek sang pata puchhta hai ghar ka mire
nahin hai kya koi sar aur mere sar ki tarah
navah-e-jan men ujalon ka raqs hai ‘shibli’
ye kaun aaya dabe paanv yuun sahar ki tarah
Leave a Reply