miyan majburiyon ka rabt aksar TuuT jaata hai
vafa.en gar na hon buniyad men ghar TuuT jaata hai
shanavar ko koi daldal nahin dariya diya jaa.e
jahan kam-zarf baiThe hon suḳhnavar TuuT jaata hai
ana ḳhud-dar ki rakhti hai us ka sar bulandi par
kisi poras ke aage har sikandar TuuT jaata hai
ham apne dosto ke tanz sun kar muskurate hain
magar us vaqt kuchh andar hi andar TuuT jaata hai
mire dushman ke jo halat hain un se ye zahir hai
ki ab shishe se Takrane pe patthar TuuT jaata hai
sanjo rakkhi hain dil men qimti yaden magar phir bhi
bas ik nazuk si Thokar se ye locker TuuT jaata hai
kinare par nahin ai dost main ḳhud hi kinara huun
mujhe chhune ki koshish men samundar TuuT jaata hai
Leave a Reply