• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aa Ke Mujh Tak Kashti-E-Mai Saqiya ulTi Phiri

Aa Ke Mujh Tak Kashti-E-Mai Saqiya ulTi Phiri

aa ke mujh tak kashti-e-mai saqiya ulTi phiri

aaj kya naddi bahi ulTi hava ulTi phiri

aate aate lab par ah-e-na-rasa ulTi phiri

vo bhi mera hi dabane ko gala ulTi phiri

muḌ ke dekha us ne aur vaar abruon ka chal gaya

ik chhuri sidhi phiri aur ik zara ulTi phiri

la saka nazzara-e-ruḳhsar-e-raushan ki na taab

ja ke a.ine pe chehre ki ziya ulTi phiri

rast-bazon hi ko piisa asman ne raat din

va-e-qismat jab phiri ye asiya ulTi phiri

jo baḌa bol ek din bole the pesh aaya vahi

gumbad-e-gardun se Takra kar sada ulTi phiri

rizq kha kar ghair ki qismat ka zambur-e-asal

tu ne dekha halq tak ja kar ghiza ulTi phiri

tu sata.ish-gar hai us ka jo hai tera mad.h-ḳhvan

ye to ai mushfiq zamir-e-marhaba ulTi phiri

jis par aa.i thi tabi.at ki usi ne kuchh na qadr

jins-e-dil manind-e-jins-e-narava ulTi phiri

ya to kushi Dubti thi ya chali sahil se duur

vaa.e nakami phiri bhi to hava ulTi phiri

girne vaala hai kisi dushman pe kya tir-e-shahab

asman tak ja ke kyuun ah-e-rasa ulTi phiri

ji gaya main us ke aa jaane se dushman mar gaya

dekh kar iisa ko balin par qaza ulTi phiri

mar gaya be-maut main aḳhir ajal bhi duur hai

kucha-e-qatil ka batla kar pata ulTi phiri

hijr ki shab mujh ko ulTi saans lete dekh kar

ek hi dam men vahan ja kar saba ulTi phiri

hai mira virana-e-gham ‘nazm’ aisa haul-nak

mauj-e-sail aa.i to le kar boriya ulTi phiri

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Zahid Nahin Masjid Se Kam Hurmat-E-Mai-Khana

Main Hare Mausamon Mein Jalta Raha

Is Tarah Mohabbat Mein Dil Pe Hukmarani Hai

Salim Yaqin-E-Azmat-E-Sehr-E-KHuda Na toD

komal-joya

Nisf Se dekh Zara Kam Na Ziyaada Aadha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet