barish ḳhushbu rang hava hain main aur tu
ḳhvabon ka be-nam sira hain main aur tu
apna ghar hai saat suron ke angan men
giton ki azad faza hain main aur tu
mannat ki ik Dori hain pipal se bandhi
jal men bahta ek diya hain main aur tu
jis ne janm diya hai har afsane ko
bhuli-bisri koi katha hain main aur tu
ek navela lafz hazaron lafzon men
rangon men ik rang naya hain main aur tu
Leave a Reply