• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Faisla Kya Ho Jaan-E-Bismil Ka

Faisla Kya Ho Jaan-E-Bismil Ka

poet

faisla kya ho jan-e-bismil ka

maut rukh dekhti hai qatil ka

dil-lagi hai sambhalna dil ka

naseha kaam hai ye mushkil ka

maut bhi kaanp kaanp uthti hai

naam sun sun ke mere qatil ka

mil ke talvon se hans ke kahte hain

tha zamane men shor usi dil ka

hasraten is pate par aati hain

dagh-e-dil hai charagh manzil ka

kya qarine se gul hain gulshan men

rang udaya kisi ke mahfil ka

aap ko kho ke tum ko dhundh liya

hausla tha ye mere hi dil ka

be-naqab us ne kis ko dekh liya

rang faq hai jo mah-e-kamil ka

hans ke phulon ko vo karenge subuk

rang udaenge ham anadil ka

zikr-e-gham bazm-e-yar men ‘zeba’

rang bhi dekhte ho mahfil ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHWAJA MUINUDDIN CHISHTI

Man Sharab-e-Ishq Ra Paimana-Am Ai Aashiqan

Har Ek Samt Jab Usko Pukarna Thahra

poet

Aaj Dilbar Ke Nam Ko raT raT

Main KHwab Apne Sare Nilam Kar Raha Hun

shahryar

Hum Padh Rahe The Khwab Ke Purzon Ko Jod Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet