ik umr se ham tum ashna hain
ham se mah o anjum ashna hain
dil Dubta ja raha hai paiham
lab hain ki tabassum ashna hain
un manzilon ka suragh kam hai
jin manzilon men gum ashna hain
kuchh chara-e-dard-e-ashna.i
kis soch men gum-sum ashna hain
is daur men tishna-kam saaqi
ham jaise ka.i ḳhum-ashna hain
Leave a Reply