baithe jo shaam se tire dar pe sahar hui
afsos ai qamar ki na mutlaq khabar hui
arman-e-vasl yunhi raha so gae nasib
jab aankh khul gai to yakayak sahar hui
dil ashiqon ke chhid gae tirchhi nigah se
mizhgan ki nok-e-dushman-e-jani jigar hui
pachhtata huun ki aankh abas tum se lad gai
barchhi hamare haq men tumhari nazar hui
chhani kahan na khaak na paaya kahin tumhen
mitti miri kharab abas dar-ba-dar hui
dhyan aa gaya jo shaam ko us zulf ka ‘rasa’
uljhan men saari raat hamari basar hui
Leave a Reply