”har tamanna dil se rukhsat ho gai”
lijiye fursat hi fursat ho gai
kaun samjhae dar-o-divar ko
jin ko tere diid ki lat ho gai
ham nahin ab barishon ke muntazir
ab hamen sahra ki aadat ho gai
sarhadon ki bastiyon sa dil hua
vahshaton ki jin ko aadat ho gai
sahilon par kya gharondon ka vajud
tutna hi in ki qismat ho gai
rahaton ki bhi talab baaqi nahin
dard se aise mohabbat ho gai
Leave a Reply