haya-e-ruh gul-e.azaz bhi hai
shu.ur-e-zindagi ka raaz bhi hai
mohabbat raz-andar-raz bhi hai
kahin ye soz bhi hai saaz bhi hai
use kaise na dil de duun ki jis men
vafa bhi husn bhi andaz bhi hai
rah-e-ishq-o-vafa men zindagani
tarana bhi hai soz-o-saz bhi hai
mohabbat men na dekh anjam ai dil
ye ik be-intiha aghaz bhi hai
tabassum hi nahin gharat-gar-e-dil
bala-e-jan ḳhiram-e-naz bhi hai
dil-e-‘jauhar’ hai ik ashiq ki duniya
ki ye pamal-e-husn-o-naz bhi hai
Leave a Reply