koi mila tha sar-e-rah ik zamana hua
phir us ke ba.ad koi aisa saneha na hua
khile jo phuul kare ehtiram-e-zaḳhm-e-jigar
ye phuul vo hai jo minnat-e-kash-e-saba na hua
abhi se tark-e-ta.alluq ka kyuun ḳhayal aaya
abhi to ziist ka mafhum bhi ada na hua
miri sada ki rahi hai sada-e-be-avaz
magar ye shahr-e-nava ham-rah-e-nava na hua
rah-e-vafa men suna hai ki karvan ‘nashtar’
Thahar ga.e hain jahan mera naqsh-e-pa na hua
Leave a Reply