Aage Kya Tum Sa Jahan Mein Koi Mahbub Na Tha

aage kyā tum sā jahāñ meñ koī mahbūb na thā

kyā tumhīñ ḳhuub bane aur koī ḳhuub na thā

in dinoñ ham se jo vahshī kī tarah bhaḌko ho

ye to milne kā tumhāre kabhū uslūb na thā

nāma-bar dil kī tasallī ke liye bhejūñ huuñ

varna ahvāl mirā qābil-e-maktūb na thā

tāqat ab taaq huī sabr-o-shakebā.ī kī

kab talak sabr kare dil mirā ayyūb na thā

ġhalba-e-ishq ne ‘hātim’ ko pachhāḌā āḳhir

zor meñ apne vo itnā bhī to maġhlūb na thā

Leave a Comment