ghamgin nahin huun dahr men to shaad bhi nahin
abad agar nahin huun to barbad bhi nahin
milti tiri vafa ki mujhe daad bhi nahin
majnun nahin hai dahr men farhad bhi nahin
kahta hai yaar jurm ki paate ho tum saza
insaf agar nahin hai to be-dad bhi nahin
insan ki qadr kya hai jo ho tere ru-ba-ru
tere muqable men pari-zad bhi nahin
afsos kis se yaar ki khinchvaiye shabih
‘mani’ nahin jahan men hai ‘bahzad’ bhi nahin
karta hai uzr-e-jaur-o-jafa yaar tu abas
hona jo tha hua vo hamen yaad bhi nahin
kushta hua huun abru-e-khamdar-e-yar ka
mere liye zarurat-e-jallad bhi nahin
hasrat bhare hue gae duniya se saikadon
tasdiq kis se kijiye shaddad bhi nahin
‘bahram’ mere zor-e-tabiat se hai sukhan
shagird main nahin huun to ustad bhi nahin
Leave a Reply