raz-e-dil laate hain zaban tak ham
dukh bharen ai ḳhuda kahan tak ham
aur vo ham se khinchte jaate hain
minnaten karte hain jahan tak ham
na uḌa baghban ki gulshan-e-dil
aur hain amad-e-ḳhizan tak ham
aap ke lutf ne to qahr kiya
ḳhuub the jaur-e-asman tak ham
asman tak gaya hai sail-e-sarishk
dil ko roya karen kahan tak ham
un ka aana bhi ab nahin manzur
jaan se tang hain yahan tak ham
tera paigham bhi suna denge
ai ‘hasan’ pahunchen to vahan tak ham
Leave a Reply