dhuan dhuan hain nigahon ki bastiyan kya kya
chamak rahi hain ḳhayalon ki bijliyan kya kya
bhanvar ki aankh se takte hi rah ga.e tufan
pahunch ga.i hain kinaron pe kashtiyan kya kya
milegi meri bhi kisht-e-nazar ko sairabi
har ek samt uchhalti hain naddiyan kya kya
miri nigah ke daman ko khinch leti hain
tire ḳhayal ki gul-posh vadiyan kya kya
sharab-ḳhane ke divar-o-dar damak uTThe
chhalak paḌin mire saghar se bijliyan kya kya
suḳhan ke shor men sunta nahin koi lekin
dilon men guunj rahi hain kahaniyan kya kya
‘nadim’ sho.abada-e-zindagi se aḳhir-kar
lahak rahi hain nigahon men khetiyan kya kya
Leave a Reply