• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Pure Chand Ki Raat Ka Jadu

Pure Chand Ki Raat Ka Jadu

naz-butt

chand ki raat ka jaadu

shaam dhale ik aahat dil men hoti hai!

dhire dhire shaam ka saaya aur bhi gahra hota hai

shaam se raat ka milna

vasl ki khvahish aur badha deta hai

puure chand ki raat ka jaadu joban par aa jaata hai

jhiil ka raushan paani chand ka aks uchhale phirta hai

ek nasha sa dil men jaise qatra qatra girta hai

husn kanval ke phuul sa khilne lagta hai

ik manus si khushbu tan ko chhuti hai

aise men phir mast hava ke jhonke

chhedne lagte hain

aur main pyaar ke pagal-pan men

savan-rut ki badli ban kar

duur falak par

us ka haath pakad kar

udne lagti hun!!

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Ki Tarah Hi Ab Meri Duniya KHarab Hai

Tere Nazdik Aata Ja Raha Hun

poet

Hum Jun Chakor Ghash Hain Aji Ek Yar Par

poet

Mahw-E-Didar-E-Yar Hun Chup Hun

poet

Kin Uljhanon Mein chhoD Gai Justuju Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet