moti nahin huun ret ka zarra to main bhi huun
dariya tire vajud ka hissa to main bhi huun
ai qahqahe bikherne vaale tu ḳhush bhi hai
hansne ki baat chhoḌ ki hansta to main bhi huun
mujh men aur us men sirf muqaddar ka farq hai
varna vo shaḳhs jitna hai utna to main bhi huun
us ki tu soch duniya men jis ka koi nahin
tu kis liye udaas hai tera to main bhi huun
ik ek kar ke Dubte taare bujha ga.e
mujh ko bhi Dubna hai sitara to main bhi huun
ik aa.ine men dekh ke aaya hai ye ḳhayal
main kyuun na us se kah duun ki tujh sa to main bhi huun
Leave a Reply