gurez-pa hai naya rasta kidhar jaa.en
chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaa.en
na mauj-e-tund hai kuchh aisi jis se khelen ham
chaḌhe hue hain jo dariya kaho utar jaa.en
ajab qarine ke majnun hain ham ki rahte hain chup
na ḳhak-e-dasht uḌa.en na apne ghar jaa.en
jabin hai ḳhaak se aisi lagi ki uThti nahin
junun-e-sajda agar ho chuka to mar jaa.en
zamana tujh se ye kahna hai mar chuke ham log
ab apni laash tire bazuon men dhar jaa.en
hamin bache hain yahan aḳhiruz-zaman lekin
sabhon ko apna ta.aruf den dar-ba-dar jaa.en
Leave a Reply