dekh kar bam-o-dar ka sannata
bol uthta hai ghar ka sannata
ai mohabbat ik akhiri avaz
phir to hai umr bhar ka sannata
koi surat na koi aina
didani hai nazar ka sannata
likh rahi hai sahar ke mathe par
raat apne safar ka sannata
kya yahi hai udaan ka mausam
aam hai bal-o-par ka sannata
kis ko avaz de musafir-e-gham
be-jahat hai safar ka sannata
asman par hai akhiri taara
dam-ba-khud hai sahar ka sannata
ho na ho koi aane vaala hai
kah raha hai ye ghar ka sannata
chaap qadmon ki bhi nahin hai ‘ziya’
ham hain aur rahguzar ka sannata
Leave a Reply