vo shaḳhs jo rakhta hai jamal aur tarah ka
hai us se bichhaḌne ka malal aur tarah ka
asar ḳharabi ke hain, aghaz se zahir
lagta hai ki guzrega, ye saal aur tarah ka
is shahr-e-ziyan-kar ke imkan se bahar
main ab ke dikha.unga, kamal aur tarah ka
hota hai hamesha hi na.e ranj men Duuba
is jada-e-vahshat pe dhamal aur tarah ka
is shahr-e-fusun-gar ke azaab aur, savab aur
hijr aur tarah ka hai, visal aur tarah ka
ab ghar se nikalna hi paḌega ki muḳhalif
is baar! uThate hain, saval aur tarah ka
Leave a Reply