pech fiqre par kiya jaata nahin
koi dhaga do bata jaata nahin
bosa-e-lab ghair ko dete ho tum
munh mira mitha kiya jaata nahin
zoaf ne yak-dast tode pa-e-zist
nabz-e-murda huun hila jaata nahin
zulf se sumbul kare kya ham-sari
pech choti ka kiya jaata nahin
tegh-e-husn-e-yar se majruh hai
tota-e-khat se uda jaata nahin
qabr ka talib abas hai jism-e-zar
chashm-e-dushman men sama jaata nahin
kya kashida surat-e-tasvir huun
na-tavani se khincha jaata nahin
zoaf se pahunchenge kyun-kar aap tak
aap se bahar hua jaata nahin
khinch sake tasvir betabi men kya
ek surat par raha jaata nahin
ruuh ko bhi bosa-e-lab ki hai chaat
mar gae lekin mara jaata nahin
murde se bad-tar huun go jiita huun main
rang-e-hasti men mila jaata nahin
rang kya qadd-khamida ka khile
chhalle ke gul se khila jaata nahin
roz angiya hoti hai arasta
kab naya bangla saja jaata nahin
pech men aane ko taqat chahiye
tere dam par bhi chadha jaata nahin
itr khinchta hai hamari khaak ka
haath malne ka maza jaata nahin
chutkiyan mere sarape men na lo
jama-e-hasti chuna jaata nahin
koi kya ham ko banega ‘munir’
aise bigde hain bana jaata nahin
Leave a Reply