samundar paar aa baithe magar kya
nae mulkon men ban jaate hain ghar kya
nae mulkon men lagta hai naya sab
zamin kya asman kya aur shajar kya
udhar ke log kya kya sochte hain
idhar baste hain khvabon ke nagar kya
har ik raste pe chal kar sochte hain
ye rasta ja raha hai apne ghar kya
kabhi raste ye ham se puchhte hain
musafir ho rahe hain dar-ba-dar kya
kabhi socha hai mitti ke alava
hamen kahte hain ye divar-o-dar kya
yahan apne bahut rahte hain lekin
kisi ko bhi kisi ki hai khabar kya
kise fursat ki in baton pe soche
mashinon ne kiya hai jaan par kya
mashinon ke ghanere jangalon men
bhatakti ruuh kya us ka safar kya
yahan ke aadmi hain do rukhe kyuun
mohazzab ho gae hain janvar kya
adhure kaam chhode ja rahe hain
idhar ko aenge bar-e-digar kya
ye kis ke ashk hain auj-e-falak tak
koi rota raha hai raat bhar kya
chaman men har taraf aansu hain ‘javed’
tiri halat ki sab ko hai khabar kya
Leave a Reply