paniyon men rasta sho.alon men ghar dekhega kaun
ai guman-e-ḳhush-nazar ab ke udhar dekhega kaun
chashm-e-pur-nam soz-e-dil apni jagah lekin yahan
mausam-e-sar-sabz men raqs-e-sharar dekhega kaun
is sadi se us sadi tak rishte-nate dosti
pichhe kya kya rah gaya hai lauT kar dekhega kaun
dirham-o-dinar hain in.aam hijrat ka magar
ghar se gar sab hi chale jaa.en to ghar dekhega kaun
Leave a Reply