saqiya mar ke uthenge tire mai-khane se
ahd-o-paiman hain yahi ziist men paimane se
tu kahan aai mira dard batane ke liye
ai shab-e-hijr nikal ja mire gham-khane se
kaun hota hai musibat men kisi ka dil-soz
uth gai shama bhi jal kar mire kashane se
kuchh yahi kohkan-o-qais pe guzri hogi
milti-julti hai kahani mire afsane se
jubba-farsa-e-dar-e-kaaba the kal tak to ‘zahir’
girte padte hue aaj aate hain maikhane se
Leave a Reply