• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae

Kuchh Bol Guftugu Ka Saliqa Na Bhul Jae

kishwar-naheed

kuchh bol guftugu ka saliqa na bhuul jaae

shishe ke ghar men tujh ko bhi rahna na bhuul jaae

va rakh sada daricha-e-khud-agahi ki tu

achchhe to kya buron ko parakhna na bhuul jaae

zakhm-e-nihan ko shauq-e-talab se juda na kar

hota hai roz o shab jo tamasha na bhuul jaae

kar den na be-talab ye musalsal aziyyaten

dil bhi kahin vafa ka saliqa na bhuul jaae

manzil ka nashsha qurbat-e-manzil na chhin le

apni gali men aa ke hi rasta na bhuul jaae

mat rakh tazad-e-zahir-o-batin ki aadmi

tujh ko tire amal se parakhna na bhuul jaae

vo bhiid hai ki shahr men chalna muhal hai

ungli pakadna baap ki bachcha na bhuul jaae

‘nahid’ rifaten to milengi bahut magar

ankhon ko apne shahr ka naqsha na bhuul jaae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tanhai Ke Sab Din Hain Tanhai Ki Sab Raaten

Jab Se Jaana Hai Gham-E-Zist Se Hasil Kya Hai

Bana Dengi Duniya Ko Ek Din Sharabi

Kya Puchhte Ho Haal-E-Dil-E-Be-Qarar Aaj

Rahbar Rah-Numa Koi Nahin Hota Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet