mire siine se ranj-o-gham ki tughyani nahin jaati
ilahi kya karun dil ki pareshani nahin jaati
mujhe ghairon ke jhuTe dava-e-ulfat se kya matlab
ghazab ye hai miri haq baat bhi maani nahin jaati
kiya us chashm-e-ishq-afroz ne barbad duniya men
magar phir bhi nazar ki fitna-samani nahin jaati
tahayyur hai mohabbat ke nata.ej tu ne dekhe hain
magar afsos ai dil teri nadani nahin jaati
paḌe hain pech sumbul men yahan a.ina hairan hai
ta.ajjub hai ki gesu ki pareshani nahin jaati
jahan men har taraf saman-e-ishrat bhi muhayya hai
sabab kya hai miri gham ki faravani nahin jaati
dilaya yaad us paiman-shikan ko va.ada kyuun main ne
pareshan huun kisi surat pashemani nahin jaati
hazaron namvar aa kar base shahr-e-ḳhamoshan men
magar is sar-zamin ki phir bhi virani nahin jaati
pa.e daryaft asrar-e-haqiqat sab hain sargardan
falak ke paar lekin aql-e-insani nahin jaati
natija nek hai isar ka duniya-o-uqba men
haqiqat men kabhi be-kar qurbani nahin jaati
asar kya ḳhaak ho meri fughan ka us pe ai ‘hafiz’
miri avaz tak us ghar men pahchani nahin jaati
Leave a Reply