kaun kahta hai ki benam-o-nishan ho ja.unga
Duub kar main qatre qatre se ayaan ho ja.unga
dekhna chheḌunga maqtal men bhi saz-e-sarmadi
ishq par jab zulm hoga naghma-ḳhvan ho ja.unga
moti ban kar sipiyon men aap raushan hain agar
main bhi giili ret par gauhar-e-fishan ho ja.unga
saari duniya se juda hai meri fitrat ka mizaj
jis qadar simTunga utna be-karan ho ja.unga
mere hote zindagi be-rang ho sakti nahin
nabz-e-alam men lahu ban kar ravan ho ja.unga
jab muarriḳh meri hasti par uTha.ega qalam
intiha ye hai ki teri dastan ho ja.unga
hasraton ki manzilen ro.engi mere haal par
aise avara musafir ka nishan ho ja.unga
ye bahut dushvar hai lekin tumhare vaste
main tumhare aur apne darmiyan ho ja.unga
chahchaha.unga baharon men parindon ki tarah
pattharon ki vadiyon men be-zaban ho ja.unga
gulistan faani sahi tum ho magar ḳhushbu ka ḳhvab
main tumhara giit ban kar javedan ho ja.unga
jab samundar mere siine men sama ja.ega ‘prem’
har bhanvar ki aabru ka imtihan ho ja.unga
Leave a Reply