• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Marte dam O Bewafa dekha Tujhe

Marte dam O Bewafa dekha Tujhe

poet

marte dam o bevafa dekha tujhe

ik nazar dekha to kya dekha tujhe

ai pari-ru kyuun na main divana huun

baal khole barha dekha tujhe

nikhat-e-gul bhi na laai ta-qafas

chal hava ho ai saba dekha tujhe

girya-e-bulbul par us ne hans diya

jis ne ai gulgun-qaba dekha tujhe

diid men har-chand sau nuqsan the

faeda ik ye hua dekha tujhe

halqa-e-gesu hai gardan men pada

aap apna mubtala dekha tujhe

kya tiri nairangiyan kiije bayan

sab men aur sab se juda dekha tujhe

barq-e-afat aaj hi ham par giri

varna hanste barha dekha tujhe

aaj tak ai bekasi chhoda na saath

ek sabit ashna dekha tujhe

ِduzdi-e-dil ka yaqin ho kis tarah

kis ne ai duzd-e-hina dekha tujhe

ham ne ‘ghafil’ but-kade men dahr ke

ek mard-e-ba-khuda dekha tujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ali-sardar-jafri

Ishq Ka Naghma Junun Ke Saz Par Gate Hain Hum

gulzar

Hirasat

Shoala Idhar Udhar Kabhi Saya Yahin Kahin

Waqt Ne Rang Bahut Badle Kya Kuchh Sailab Nahin Aae

Tera Mizaj Takabbur Ka shaKHsana Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet