• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha

Jal Kar Jis Ne Jal Ko Dekha

jal kar jis ne jal ko dekha

tum ne us pagal ko dekha

ḳhvab diye aur a.ine men

aane vaale kal ko dekha

vaqt ke sab se unche pul se

aate jaate pal ko dekha

ḳhvahish ke changul se aage

hairat ke jangal ko dekha

sahra men ik kursi dekhi

kursi par sachchal ko dekha

dekhin tishna-lab ki ankhen

ankhon ke jal-thal ko dekha

badal jab dariya par barsa

dariya ne badal ko dekha

mausam ne jab karvaT badli

chadar ne kambal ko dekha

ankhon ki gahra.i jaani

peshani ke bal ko dekha

daldal ke sabze se guzre

sabze ke daldal ko dekha

maazi ke har peḌ pe ham ne

mustaqbil ke phal ko dekha

likhne vaalo haath uTha lo

kis kis ne maqtal ko dekha

tum ne ziddi dekhe honge

dil jaise aḌiyal ko dekha

mushkil kitni mushkil men thi

mushkil ne jab hal ko dekha

khurach khurach kar shak ne khaddar

mal mal kar malmal ko dekha

dariya pir-abad men kis ne

shalu aur shal shal ko dekha

qainchi jab Dam Dam par jhapTi

kikar ne pipal ko dekha

balTi gailan tasle dekhe

aur phir main ne nal ko dekha

dariya ki lahren gin gin ke

paani ki botal ko dekha

hairam dev ne sona kha kar

chandi aur pital ko dekha

dekha kya kya dekh raha hai

ghaur se jab goggle ko dekha

channel par ḳhabren to dekhin

ḳhabron ke channel ko dekha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaan Le Le Na Zabt-E-Ah Kahin

asrarul-haq-majaz

Izn-E-Khiram Lete Hue Aasman Se Hum

Hamesha Dhup Dekhi Saeban Mein

Ye Ab Ke Kaisi Mushkil Ho Gai Hai

KHub Hathon-Hath Badla Mil Gaya Bedad Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet