jo kuchh ki tha vazaif-o-aurad rah gaya
tera hi ek naam faqat yaad rah gaya
zalim tiri nigah ne kiye ghar ke ghar kharab
hoga koi makan ki vo abad rah gaya
jaate hain ham-safir chaman ko par ek main
yaan kushta-e-taghaful-e-sayyad rah gaya
juun hi do-char aa ke hua vo nazar-fareb
le kar qalam ko haath men bahzad rah gaya
is sarv-e-gul-azar ki tarz-e-khiram dekh
khajlat se gad zamin men shamshad rah gaya
kis kis ka dil na shaad kiya tu ne ai falak
ik main hi gham-zada huun ki nashad rah gaya
‘bedar’ rah-e-ishq kisi se na tai hui
sahra men qais koh men farhad rah gaya
Leave a Reply