khvahishen kam nahin hongi
jo tum chaho to aazma lo
sansen thamti nahin hain khvabon ki
chahe jahan bhi dafna lo
main tujh men tujh sa hi huun kahin
zara dhundho zara jaano
phir tum faisla lena
ki chhodoge ya apna lo
kahoge kuchh na tum ham se
chalo is baat ko maana
par khud se to na yuun rutho
ya sikho bhi manana
rahunga main to yahin kahin
tere daman ka aansu huun
khushi men yaad tum karna
gham ko ab aur na paalo
sansen thamti nahin hain khvabon ki
chahe jahan bhi dafna lo
chaloge mujh sang ab na tum
kahan aata hai nibhana
par khud ke saath to thahro
suno pichhe nahin aana
tum mujh ko janoge ek din
yaqin ye khud ko dila lo
ye vaqt samjha ke rahta hai
chahe kitna bhi tum taalo
sansen thamti nahin hain khvabon ki
chahe jahan bhi dafna lo
Leave a Reply