ishq men iztirab rahta hai
ji nihayat ḳharab rahta hai
ḳhvab sa kuchh ḳhayal hai lekin
jaan par ik azaab rahta hai
tishnagi ji ki baḌhti jaati hai
samne ik sarab rahta hai
marhamat ka tiri shumar nahin
dard bhi be-hisab rahta hai
teri baton pe kaun laa.e dalil
dil hai so la-javab rahta hai
Leave a Reply