• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wafa Ke Raaz Se Parda Nahin uThaungi

Wafa Ke Raaz Se Parda Nahin uThaungi

vafa ke raaz se parda nahin uTha.ungi

main dil ke zaḳhm tah-e-dil se hi chhupa.ungi

agar tumhari nigahon men ye khaTakta hai

suno main aaj se kajal nahin laga.ungi

udaas dil ho to gulshan bhi aah bharta hai

ye sach hai rote hue dil se muskura.ungi

jo mujh pe guzri hai ashkon se vo ibarat hai

jo naqsh dil men hai kaise use miTa.ungi

har ek baat ko sun kar jo an-suni kar de

use main dard ki rudad kya suna.ungi

kabhi to aa.e vo ai zindagi mira ban kar

qasam ḳhuda ki main rahon ko bhi saja.ungi

jo mere dil ki sada hi na sun saka to phir

use main nauha-e-dil kis tarah suna.ungi

tumhara saath muqaddar men gar nahin hai likha

to yaad ban ke main dil men kahin sama.ungi

jo ḳhvab dekhe hain dil un se kyuun ulajhta hai

main ab ye falsafa shayad samajh na pa.ungi

vo jab mile to ye us se zarur kah dena

vo is baras bhi na aaya to mar hi ja.ungi

yaqin hai rab pe ‘sabila’ vo meri sun lega

main ho ke ba-vazu hathon ko jab uTha.ungi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-hamid-adam

Matlab Muamalat Ka Kuchh Pa Gaya Hun Main

poet

Kar Sake dafn Na Us Kuche Mein Ahbab Mujhe

Hum Hain TuTe Hue Hum Hain Haare Hue

Kisi Banjar taKHayyul Par Kisi Be-Ab Rishte Mein

muneer-niyazi

Ghairon Se Mil Ke Hi Sahi Be-Bak To Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet