dhuup thi sahra tha lekin jism ka saaya na tha
aadmi is se ziyada to kabhi tanha na tha
khinchte the apni janib regzaron ke sarab
duur tak sahra men lekin aab ka qatra na tha
ek mub.ham ḳhvab tha ankhon men aur dil men junun
zehn men lekin imarat ka koi naqsha na tha
bhiiḌ thi basti men lekin main kise pahchanta
itne logon men kisi bhi shaḳhs ka chehra na tha
is qadar shiddat se vo dariya samundar se mila
ab samundar hi samundar tha kahin dariya na tha
ghar ki azmat haa.e jis divar se mahfuz thi
ghar ke darvaze pe ab vo TaaT ka parda na tha
vo ghazal apni sajata tha lahu ke rang se
phir bhi kahte hain ‘nafas’ us ka koi pesha na tha
Leave a Reply