poshida tha jo sab pe ayaan kyuun nahin hua
haq men hamare nek guman kyuun nahin hua
sarsabz ho ke dil-nashin ban jaati ye zamin
aisa gudaz sail-e-ravan kyuun nahin hua
naghmon ke darmiyan fasana tha pur-kashish
dilkash faza men raqs javan kyuun nahin hua
kal tak gali hamari daraḳhshan na ho saki
ab to batao aisa miyan kyuun nahin hua
shan-o-shikoh men vo hamesha tha taza-dam
ghar ki faza men jazb makan kyuun nahin hua
jalta raha hamara zamana chahar-su
sho.alon ke beach us ka jahan kyuun nahin hua
chehra khula sa un ki nazar ke qarib tha
pesh-e-nigah dard-e-nihan kyuun nahin hua
hairat-zada thi aql hamari ye soch kar
jo kuchh vahan hua tha yahan kyuun nahin hua
hamd-o-sana dua se sanvara gaya tha shahr
‘ja.afar’ magar vo ja-e-aman kyuun nahin hua
Leave a Reply