naya lahja naya manzar naya pindar ho paida
mire naghmon se aisi raunaq-e-gulzar ho paida
yahi tha maslahat-andesh mausam ka taqaza kya
sada-e-ḳhamushi se ik na.i guftar ho paida
bikhar jaata hai sab shiraza-e-amn-o-sukun aḳhir
agar basti men koi aadmi ḳhun-ḳhvar ho paida
kahan bardasht ho sakta hai ye mujh se kisi surat
samar pakne se pahle hi koi haqdar ho paida
hamesha chheḌta huun saaz apne kohna zaḳhmon ka
mire dil ke bayaban men koi gulzar ho paida
yahi main chahta huun ai ghazala dasht-o-sahra men
ki ab mere junun se garmi-e-bazar ho paida
mazamin ghaib se aate nahin ‘atish’ to kya kachche
kahan se sher koi bhi mira tah-dar ho paida
Leave a Reply