• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Intizar-E-Hashr Kar Sakte Nahin Nakaam-E-Ishq

Intizar-E-Hashr Kar Sakte Nahin Nakaam-E-Ishq

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

intizar-e-hashr kar sakte nahin nakam-e-ishq

aaj hi ho jaae hona ho jo kal anjam-e-ishq

ibtida men dard-e-furqat maut hai anjam-e-ishq

ahl-e-dil ko na-muvafiq hai hava-e-bam-e-ishq

be-khudi men dabdaba aae hain aansu aankh men

al-madad ai zabt chhalka chahta hai jam-e-ishq

us ki ulfat ne kiya rusva-e-alam kis qadar

ungliyan uthti hain jaate hain jidhar badnam-e-ishq

kyon nasihat men tiri naseh hain ye dil-soziyan

kya tire dil par guzarte hain mire alam-e-ishq

chashm-e-giryan qalb-e-nalan ki shamatat qahr hai

donon mil kar ik mujhi ko dete hain ilzam-e-ishq

hasraten bhi aaj dil ke saath hi dam tod den

aage pichhe saath valon ka na ho anjam-e-ishq

baam par aa kar zara bikhraiye zulf-e-daraz

phail jaae saare aalam men savad-e-sham-e-ishq

aur kya eajaz hota husn-e-laila ke liye

mar gaya majnun magar zinda hai ab tak nam-e-ishq

chaar hi din men ‘nazar’ tum is qadar ghabra gae

asman se koi puchhe gardish-e-ayyam-e-ishq

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tamam Duniya Mein DhunD Aaya Main Gum-Shuda Zindagi Ki Surat

Mujhe Hazar Martaba Pukar Kar Chala Gaya

Kya DhunDne Aae Ho Nazar Mein

Utarne Wali Dukhon Ki Baraat Se Pahle

Kaisi Hai Ajab Raat Ye Kaisa Hai Ajab Shor

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet