• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Aatish-E-KHamosh Ko Shoala Bana Na De

Is Aatish-E-KHamosh Ko Shoala Bana Na De

is atish-e-ḳhamosh ko sho.ala bana na de

chingariyon ke Dher ko koi hava na de

mushkil se kuchh hua hai mayassar mujhe sukun

maazi ka koi dard mujhe phir jaga na de

ghar phunkne se pahle mira tu ye soch le

sho.ala kahin ye tere bhi ghar ko jala na de

tufan nafas nafas hai qayamat qadam qadam

jab zindagi yahi hai to is ki dua na de

ik sham-e-arzu hai hamari anis-e-gham

hai ḳhauf tund jhonka ise bhi bujha na de

kuchh bhi kashish na baaqi rahegi hayat men

dil men ḳhayal-e-tark-e-mohabbat ḳhuda na de

ham jis ke raste men bichhate hain aaj phuul

vo kal hamari raah men kanTe bichha na de

‘ma.asum’ nafraton ka ye phaila hua ghubar

Dar hai ki mera naqsh-e-mohabbat miTa na de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shahr-E-Na-Pursan Mein Kuchh Apna Pata Milta Nahin

Mere suKHan Ko Naya moD Dene Aaya Tha

poet

Umangon Mein Wahi Josh-E-Tamanna-Zad Baqi Hai

Ye Jo Insan KHuda Ka Hai Shahkar

Barmala Wo Bhi Agar Hum Ko Dagha Deta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet