aḳhirash mar hi gaya yaḳh-bastagi sahta hua
vo jo zinda pal miri muTThi men tha jakḌa hua
ab kisi ko dekhna un ko gavara hi nahin
dekh kar tujh ko zamane bhar se dil andha hua
har-bun-e-mu gosh-bar-avaz hai us ke liye
vo magar ḳhamosh meri har sada sunta hua
par salamat hain magar phir bhi vo uḌ sakta nahin
ik parinda canvas par kab se hai baiTha hua
vaqt ke saare sitam ham ne sahe mil kar to phir
chand mere saath aḳhir kyuun nahin buḌha hua
jaan kar apna hi ghar ab dard rahta hai yahan
dil ko ḳhali us ki ḳhatir to na tha rakkha hua
yuun musallat zindagi kar di ga.i a.asab par
bojh ye Dhone men shal ehsas ka kandha hua
ho ga.e tahlil sab manzar chhua jab aa.ina
khul gaya ye bhed aks-e-ḳhvab tha phaila hua
Leave a Reply