jaane kya vaj.h-e-beganagi hai
shahr men jo bhi hai ajnabi hai
aag si mere dil men lagi hai
phir bhi kitni ḳhunuk chandni hai
rat-bhar sham.a tanha jali hai
tab kahin raat ja kar kaTi hai
un ko kho kar bhi main ji raha huun
ye kisi aur ki zindagi hai
zahr-e-gham kaam kar bhi chuka hai
muskurahaT labon par vahi hai
taab ke jaam raushan rakhoge
raat bhi ab to Dhalne lagi hai
aaj to tum bhi so jaao ‘ishqi’
aaj to dard men bhi kami hai
Leave a Reply