be-sabab vahshaten karne ka sabab janta hai
main jo karta huun vo kyuun karta huun sab janta hai
bolte sab hain magar baat kahan karte hain
ye saliqa to koi mohr-ba-lab janta hai
mujh se gustaḳh ko vo kaise gavara kar le
jab ki vo shahr-e-suḳhan hadd-e-adab janta hai
apne hi Dhab se vo karta hai miri charagari
kab chamakna hai mira tale-e-shab janta hai
kaise mausam men kahan rahat-e-jan utrega
aisi sab baten dil-e-ranj-e-talab janta hai
bhuul sakta hai use ye dil-e-ayyar magar
chashm-o-abru ka fusun lazzat-e-lab janta hai
muskura kar jise milta huun hamesha ‘azmi’
ik vahi meri udasi ka sabab janta hai
Leave a Reply