• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahen Kya Ki Kya Kya Sitam Dekhte Hain

Kahen Kya Ki Kya Kya Sitam Dekhte Hain

poet

kahen kya ki kya kya sitam dekhte hain

likha hai jo qismat men ham dekhte hain

kabhi aah na.ara kabhi khinchte hain

ham is saaz ka zer-o-bam dekhte hain

ḳhat-e-sar-navisht apna ham paḌh rahe hain

tumhara jo naqsh-e-qadam dekhte hain

mire ru-ba-ru vo baham ghair se hain

na dekhe koi jo ki ham dekhte hain

rahi gar talash-e-kamar yuun hi ham ko

koi dam men mulk-e-adam dekhte hain

hazaron guman dil men hote hain paida

tire haath men jab qalam dekhte hain

nahin jaana kis din tu ghairon ke ghar par

sarihan to ankhon se ham dekhte hain

nahin aarzu kuchh bhi bose ki ham ko

magar ham tumhara karam dekhte hain

jo aalam ki dekha hai ku-e-butan men

ḳhuda ki ḳhuda.i men kam dekhte hain

nazar aate ho ‘sehr’ ashiq kisi par

tumhen har ghaḌi chashm-e-nam dekhte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kaba Hai Agar Shaikh Ka Masjud-E-Khalaiq

poet

Dard Hi Dard Thi Minnat-Kash-E-Darman to Na Thi

Inhi Galiyon Mein Ek Aisi Gali Hai

Din Ke Paikar Mein Kahin Raat Mein Dhalte Hue Rang

poet

Ai Zalim Tere Jab Se Pale Pade

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet