har nai rut men naya hota hai manzar mera
ek paikar men kahan qaid hai paikar mera
main kahan jaun ki pahchan sake koi mujhe
ajnabi maan ke chalta hai mujhe ghar mera
jaise dushman hi nahin koi mira apne siva
laut aata hai miri samt hi patthar mera
jo bhi aata hai vahi dil men sama jaata hai
kitne dariyaon ka pyasa hai samundar mera
tu vo mahtab taken raah ujale teri
main vo suraj ki andhera hai muqaddar mera
Leave a Reply