amal sen mai-paraston ke tujhe kya kaam ai vaaiz
sharab-e-shauq ka tu ne piya niin jaam ai vaaiz
lagega sang-e-khajlat shisha-e-namus par tere
abas ham be-gunahon kuun na kar bad-nam ai vaaiz
nahin hai imtiyaz-e-nek-o-bad chashm-e-haqiqat men
mujhe yaksan hua hai kufr aur islam ai vaaiz
niyaz-e-be-khudi behtar namaz-e-khud-numai sen
na kar ham pukhta-maghzon sen khayal-e-kham ai vaaiz
kalam-e-nuqta-e-ilm mukhtasar hai sab maani ka
bayan-e-mantiq-e-darsi kuun niin anjam ai vaaiz
vo shirin-lab ki kadve bol amrit hain mire haq men
tujhe maalum kya hai lazzat-e-dushnam ai vaaiz
‘siraj’ us kaba-e-jan ke tasavvur kuun kiya sumran
yahi vird-e-sahar hai aur dua-e-sham ai vaaiz
Leave a Reply