ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mira taaj gadayana banaya hota
apna divana banaya mujhe hota tu ne
kyuun khirad-mand banaya na banaya hota
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe
kaash khak-e-dar-e-janana banaya hota
nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
dil-e-sad-chak banaya to bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tire shana banaya hota
sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe
qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota
tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe
to charagh-e-dar-e-mai-khana banaya hota
shola-e-husn chaman men na dikhaya us ne
varna bulbul ko bhi parvana banaya hota
roz mamura-e-duniya men kharabi hai ‘zafar’
aisi basti ko to virana banaya hota
Leave a Reply