nahin rok sakoge jism ki in parvazon ko
baḌi bhuul hui jo chheḌ diya ka.i sazon ko
koi naya makin nahin aaya to hairat kya
kabhi tum ne khula chhoḌa hi nahin darvazon ko
kabhi paar bhi kar pa.engi sukut ke sahra ko
darpesh hai kitna aur safar avazon ko
mujhe kuchh logon ki rusva.i manzur nahin
nahin aam kiya jo main ne apne razon ko
kahin ho na ga.i ho zamin parindon se ḳhali
khule asman par dekhta huun phir bazon ko
Leave a Reply