main chala ja.unga rah ja.ega afsana mira
zikr karte hi rahenge sab harifana mira
mai mujhe mamnua saghar dastaras se duur hai
aur farmata hai saaqi hai ye mai-ḳhana mira
ab to jaana hi nahin hota hai va.ada-gah men
muddaton tak ye raha ma.amul rozana mira
khinchta hai kaun sa ehsas ab us ki taraf
ho chuka hai jis se yaksar qalb begana mira
boriya maujud hai ankhen bhi farsh-e-rah men
aa.iye to ghar hai ye hazir gharibana mira
kaifiyat baham mohabbat men vo sarshari ki hai
ashiqana un ka taur andaz janana mira
puchhta phirta hai ‘shaukat’ koi mere ba.ad ab
kya hua rahta tha yaan jo ek divana mira
Leave a Reply