har na.e saal naya peḌ laga deta huun
aur be-ḳhanuman chiḌiyon ko bata deta huun
roz sunta huun main bargad se purane qisse
aur use apni kahani bhi suna deta huun
roz ik daur ki avaz Thaharti hai yahan
aur main avaz men avaz mila deta huun
mangne qarz nikal jaata huun ham-sayon se
aur bistar pe savali ko liTa deta huun
dil ko puuri tarah hone nahin deta barbad
dukh ke phailav ko main ḳhud hi ghaTa deta huun
chahta huun tiri tasvir banana lekin
main kisi aur ki tasvir bana deta huun
jab nazar aata hai apne siva rah-gir koi
ik diya aur sar-e-rah jala deta huun
Leave a Reply