ye ruashni-e-tab.a dikhane ki aarzu
achchhi nahin bala ko bulane ki aarzu
jo gham mile gale se lagane ki aarzu
rasm-o-rah-e-hayat nibhane ki aarzu
ye bhi bhala hai koi Thikane ki aarzu
har naqsh-e-arzu ko miTane ki aarzu
sahra ki saḳht dhuup men jalte hue badan
bar-e-gham-e-hayat uThane ki aarzu
har zaviye se husn-e-badan dekhne ka shauq
rakhte hain log a.ina-ḳhane ki aarzu
ye ḳhvahishen ye jehd-e-musalsal ye dauḌ-dhup
naqsh-o-nigar-e-zist banane ki aarzu
apni shanaḳht ye hai ki ghar hai na dar magar
divar-o-dar pe naam likhane ki aarzu
ye qurbaton ki raat ye jalte hue badan
niklegi aaj ek zamane ki aarzu
badnam ho chuka hai ye fann-e-sharēf bhi
kahne ka shauq hai na sunane ki aarzu
apni mata-e-gham ko liye ham bhi lauT aa.e
har shaḳhs ko thi apni sunane ki aarzu
jis haal men hain sabir-o-shakir hain ‘taj’ ham
khone ka koi gham hai na paane ki aarzu
Leave a Reply