kaash tufan men safine ko utara hota
duub jaata bhi to maujon ne ubhara hota
ham to sahil ka tasavvur bhi mita sakte the
lab-e-sahil se jo halka sa ishara hota
tum hi vaqif na the adab-e-jafa se varna
ham ne har zulm ko hans hans ke sahara hota
gham to khair apna muqaddar hai so is ka kya gham
zahr bhi ham ko ba-sad-shauq gavara hota
baghban teri inayat ka bharam kyuun khulta
ek bhi phuul jo gulshan men hamara hota
tum pe asrar-e-fana raz-e-baqa khul jaate
tum ne ik baar to yazdan ko pukara hota
Leave a Reply