gunahgar huun aisa rah-e-najat men huun
main ḳhud charagh-ba-kaf har andheri raat men huun
shu.ur gum hua divangi hai khoi hui
ḳhuda hi jaane main kis manzil-e-hayat men huun
tajalli-e-pas-e-parda zara tavaqquf kar
abhi to garm-e-nazar bazm-e-mumkinat men huun
saval ek nazar ka hai rad na kar ai dost
gada-e-ḳhak-basar rah-e-iltifat men huun
harif-e-jalva bhi ik roz hunga sabr karo
abhi to apni bahisht-e-tasavvurat men huun
hai teri yaad ka aalam bhi kitna dil-avez
samajh raha huun kisi aur ka.enat men huun
kisi ke dil ka sukun huun kisi ke dil ki ḳhalish
zamir-e-vaqt huun aur qalb-e-ka.enat men huun
hai mere haath men bhi dil ka ik bujha sa diya
kuchh ansuon ki saja.i hui barat men huun
huun ḳhud hi a.ina-e-hal kya bata.un ‘siraj’
main kis ka naqsh-e-qadam arsa-e-hayat men huun
Leave a Reply